Wednesday 9 July 2014

Ek sawaal.

Abhi tak sawal ye tha 'Aage kya karna hy ?' Lekin aaj jaise kuch naya suna. Wo sawaal jo maine kabhi apne aap se bhi nahi kia 'Aage saath chalna bhi hy ya nae ?'
Zindagi aksar hume ek aise mor par la khara karti hy jaha raahe dhoondhna mushkil ho jata hai. Galiya alag lagne lagti hai mushkilat barr jaate hy.
Naye sawaal uth khare hote hy jinke jawaab hume haasil nae.
Ye zindagi bhi ajeeb khel khelti hy kabhi phoolo ki chadar ura ti hy tw kabhi kaato pe sulaaati hy. Na jaane khuda ko ye khel itna pasand kyu hy ?
Ye mushkile kahi ka nahi chhorti ek bhoot ki tarah sir pe sawaar ho jaati hy.
Kuch cheeze ek aisa niwala ban jaati hy jise na tw thooka jaata hy or na hi nigla.
Ae khuda ye kaisi bari mushkil hy jaha samajh nae aata ki aakhir humari ghalti kya hy ? Ki Ye saza k peeche masla kya hy ?

Ae Allah hume himmat de in raasto se nikalne ki in gehraio se oocha uthne ki. Warna najane ye lehren hume kis sheher le jayengi. Humari madad kar, hume sahi raasta dikha, or agar jaane anjaane humse koi ghalti ho gayi ho tw hume maaf kar. Lekin yu na sata.
Ye dil bara hi nazuk hy agar toot gya tw bikhar jaayega or agar bikhar gaya tw phir jud nahi payega.
Ya Rab madad !

No comments:

Post a Comment